Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2021

Muhabbat mat smjh laina

محبت مت سمجھ لینا  ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﭼﻠﻨﮯ ﮐﻮ ﻓﻘﻂ ﺩُﮐﮫ ﺳُﮑﮫ ﮐﯽ ﺷﺮﮐﺖ ﮐﻮ ﻣﺤﺒﺖ ﻣﺖ ﺳﻤﺠﮫ ﻟﯿﻨﺎ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﻟﺒﺎﺩﮦ ﭘﺎﻧﯿﻮﮞ ﮐﮯ ﺭﻧﮓ ﺟﯿﺴﺎ ﮨﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﺳﺎت ﭘﺮﺩﻭﮞ ﻣﯿﮟ  ﻧﮩﺎﮞ ﮨﻮ ﮐﺮ ﻋﯿﺎﮞ ﮨﮯ، ﯾﮧ ﺣﻘﯿﻘﺖ ﮨﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﺧﻮﺷﺒﻮﺅﮞ ﮐﻮ ﮨﻢ ﺩﮬﻨﮏ ﻣﯿﮟ ﮈﮬﻮﻧﮉ ﺳﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﻣﮕﺮ ﯾﮧ ﺑﮭﯽ ﺣﻘﯿﻘﺖ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺟﺲ ﮐﻮ ﺟﺲ ﻧﮯ ﭘﺎﯾﺎ ﮨﮯ ﻭﮦ ﺍﭘﻨﺎ ﺁﭖ ﮐﮭﻮ ﺑﯿﭩﮭﺎ ﯾﮧ ﻣﻞ ﮐﺮ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻠﺘﯽ ﮐﺴﯽ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﭼﻠﻨﮯ ﮐﻮ ﻓﻘﻂ ﺩُﮐﮫ ﺳُﮑﮫ ﮐﯽ ﺷﺮﮐﺖ ﮐﻮ ﻣﺤﺒﺖ ﻣﺖ ﺳﻤﺠﮫ ﻟﯿﻨﺎ ﮐﮧ ﺟﺲ ﮐﻮ ﭼﮭُﻮ ﻟﯿﺎ ﺟﺎﺋﮯ ﺧُﺪﺍ ﻭﮦ ﮨﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ ﻣﺤﺒﺖ ﺍﯾﺴﺎ ﻣﻨﺘﺮ ﮨﮯ ﻓﻨﺎ ﺟﻮ ﮨﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺳﮑﺘﺎ !!!... Kisi ke sath chalne ko Faqat dukh sukh ki shirkat ko Muhabbat mat smjh laina Muhabbat ka libada Panioon ke rung jaisa hai Muhabbat saat pardoon main Nehaan ho kar ayaan hai Ye haqeeqat hai Is ki khushbooan ko hum Dhanak main dhoond sakty hain Magar yeh bhi haqeeqat hai Ke jis ko jis ne paya hai Wo apna aap kho baitha Ye mil kar bhi nahin milti Kisi ke sath chalny ko Faqat dukh sukh ki shirkat ko Muhabbat mat smjh laina Ke jis ko chu lia jaye Khuda wo ho nahin skta Muhabbat aisa mantar hai Fana jo ho nahin skta.

Tumhain maloom hai janaan

تمہیں معلوم ہے جاناں تمھیں معلوم ہے جاناں  تمہارے ایک آنسو سے  مری پلکوں پہ ساون کی  گھٹائیں ٹوٹ کے برسیں  یہ ہی بارش کا پانی جب  ہمیشہ کے لیے اک دن  مری ہستی مٹا دے گا  پھر اس دن جان جاؤ گے  اداسی تیرے چہرے کی  میری سانسوں کی دشمن تھی  جو میری زندگی چاہو  تو مت آنسو بہانا تم  ہمیشہ مسکرانا تم Tumahin maloom hai janaan Tumhare aik ansoo se Meri palkoon pe sawan ki Ghatain toot ke barsain Ye hi barish ka pani jab Hameesha ke liye ik din Meri hasti mita de ga Phir us din jaan jao ge Udasi tere chehray ki Meri sansoon ki dushman thi Jo meri zindagi chaho Tou mat ansoo bahana tum Hameesha muskurana tum